A Tribute to Benazir By - Pir Nasirudun

Thursday, February 26, 2009

A Tribute to Benazir by NotMicroButSoft (Deadly Busy).

This poem is by Pir Naseer-ur-Din Naseer of Goldra Sharif on Banzir's brutal murder. It stands fixed at Liaqat bgh near the palce where she was assassinated

PHOTOGRAPHER KA HAR BAAT SAY MUTTAFIQ HONA ZARORI NAHIN
------------------

Yeh takht-e-fakhra par tajdaar bethay hain
K teer-e-waqt ki zad main shikar bethay hain

Qaba-e-sabr kiyay tar tar bethay hain
Yeh kis ki yad main sab sogwar bethay hain

Ujard gaya hay yeh kis badnaseeb ak gulshan
Yeh kis kay sog main log ashakbar bethay hain

Wo Asifa ho, bilawal ho, yah ka bakhtawar
Nadhal gham say ba-gird-e-mazaar bethay hain

Teray jiyalay teri rah main BENAZIR ab bi
Liyay huway dil-e-ummeed-war bethay hain

Na bhool paayain gay ta zindagi khuda shahid
Wo teray saath jo lamhay guzar bethay hain

To aaj apny jiyaloun ko dekh to aa kar
Sehmain huway sitam-e-roozgar bethay hain

Wo tourd saktay nahin ab kisi be soorat main
Jo ehd tuj say kiyay ustawar bethay hain

Yeh kum hay kiya k tery ba’ad be yeh diwanay
Liyay saroun main wafaa ka khumar bethay hain

Tassallian unhayin denay ko aaey ga ab koun?
Teray ghareeb sar-e-rah guzar bethay hain

Jinhain guman tha k day tuj ko mout shaayad maat
Wo bazi jeet k be aaj har bethay hain

To mar gayee magar ab b diloun main zindaa hay
Kiyay huway pah adoo, sharmsar bethay hain

Yeh gham koi teray bachoun say poochay jo tuj ko
Khud apnay hathoun, lehed main utaar bethay hain

Daraz umr ho afaaq1 main bilawal ki
Jo apnay nana ki ik yaadgar bethay hain

Hay khanwada-e-bhutto ko teray azm pe naaz
Jo lut chakay hain magar ba-waqar bethay hain

Hawa ki sheh ph jo ouncha urday teray dushman
Thami hawa, to wo misle-e-ghubar, bethay hain

Tamaam shehr hai khamoush, band hain bazaar
Udas, teray aqeedat-guzar bethay hain

Nikal k un ko dikha day zara jhalak apni
Teray lehed pe teray jaan-nisaar bethay hain

Teray siwa unhain aa kar uthaiay koun k jo!
Lagaiay dil say gham-e-rozgar bethay hain

To who khateeba, khatabat ko naaz hay jis par
Teri he yaad main sab dil-figar bethay hain

To apni zaat main kia BENAZIR ban k uthi
K teray ro’ab say fitnay hazar bethay hain

To aik chaand jo teergai k halqay main
Tou aik gul k teray gird khaar bethay hain

To aik hoor shamail, to who haya paikar
Ko log sar teri seerat peh waar bethay hain

Bilawal, Asifa, Bakhtawar, aur Zardari
Liyay huway alam-e-zulfiqar bethay hain
Hay aarzo k teri maghfirat ho aur unhain
Ata ho sabr jog am say do chaar bethay hain

Milain gi tuj ko shifa’at shafi-e-mehshar ki
Pa-aiy duwa sulaha-e-kabar bethay hain

NASEEER un say zayaan kar koi kiya ho ga!
Jo ap apnay maseeha ko maar bethay hain

0 comments:

Post a Comment